maine ek sapna dekha tha, bina gehraiyon ka satya rahit, or usme dhalne laga, kabhi-kabhi achanak se neend me uthjata of ghar ki chat pe ja ke asma ke taare ginta or kehta ki kya in taaron me mera koi maqam hai, ya fir mai bhi is bhed chaal me shamil hu, furq sirf itna hai ki mai ek chamakne wala bhed hu jiske tootne ka koi zariya hi nahi.
khuli aakhon se sapne dekhne ka shauk tha bachpan ka par jab bada hua to sirf khayalaat hi haath lage ab un khayalaaton ka mahal khada karne me laga hu. mujhe tumhara saath chahiye.
kya tum khuli aakhon se sapne dkhte ho?
0 comments:
Post a Comment